Papa Ke Naam — Ek Kahani Jo Kabhi Keh Nahi Paya
Mujhe yaad hai jab main chhota tha, mujhe lagta tha papa sabse strict hain. School ke samay agar main galti karta toh sabse pehle aap hi daant dete the. Mujhe kabhi samaj nahi aata tha ki kyu aap itne gusse wale ho, kyu sab baatein itni discipline se karte ho. Par aaj jab main bada ho gaya hoon na papa… toh sab samaj aata hai. Aaj samaj aata hai ki woh daant, woh gussa, woh strict hona — sab mere liye hi tha. Mujhe theek rakhne ke liye, mujhe behtar banane ke liye. Papa, aapne mujhe kabhi kisi cheez ke liye mana nahi kiya. Jab maine bola ki mujhe bahar jaa kar padhna hai — aapne haan kar diya. Jab bola dosto ke saath ghoomne jaana hai — aapne kabhi mana nahi kiya. Jab maine bola kuch naya seekhna hai — aapne kabhi socha bhi nahi, bas keh diya “Karle beta, jo mann kare.” Mujhe nahi pata papa, uss waqt aapke paas paise the ya nahi… par aapne apne shauk, apne sapne, apni khwahishein sab chod di — kahi na kahi bas mere liye. Aapne kabhi apne liye kuch nahi manga, bas har ba...